Posts

Showing posts from November 3, 2018

Jo ho gaya use socha nahi karte, jo mil gaya use khoya nahi karte, hasil unhe hoti h manjil, jo waqt halat or kismat pe roya nahi karte.

Zindagi Choti Nahi hoti Bas Hamari Khwaish Badal Jaati Hai, Usi Tarah Koi Bura Nahi Hota Bas Hamari Soch Badal Jaati Hai.

Rehne De Aasma Zameen Ki Talash Kar, Sab Kuch Yahi Hai Na Kahi Aur Talash Kar, Har Arzoo Puri Ho To Jine Ka Kya Maza, Jeene Ke Liye Bas Ek Kami Ki Talash Kar.

Jeevan me “safal” hone ke liye. 3 Factory jaroor lagao… 1st: brain me ice factory. 2nd: juban me sugar factory. 3rd: heart me friendship factory.

Hatho ki lakeeron par kabhi bharso nahi karna, taqdeer to unki bhi hoti h jin ke hath naho hote.

Aakash dhara se ek raat bola ye, teri chati par bahut bojh rehta h, dharti boli, tu roo deta pal bhar mein, samrthwan hi sab dukh –sukh sehta h.

Jeevan mein fal pane ke liye , sharam karni padti h, ishwar sirf lakeeren deta h, rang khud hi bharna padta h

Kya pata maut ka kab paigam aa jaye, jindagi ki aakhir sham kab aa jaye, me to talash karta hu aise mauke ko ‘Tahir’, ki meri jindagi bhi kisi ke kaam aa jaye.

Baithe-Baithe zindgi Barbaad Na Kijiye, zindgi Milti Hai Kuch Kar Dikhane Ke Liye, Roke Agar Aasman Hamare Raste Ko, To Taiyaar Ho Jao Aasman Jhukane Ke Liye.

Aisa Nahi Ki Raah Mein Rehmat Nahi Rahi, Pairo Ko Tere Chalne Ki Aadat Nahi Rahi, Kashti Hain To Kinara Nahi Hai Door, Agar Tere Irado mein hai Bulandi Bani Rahi.

Waqt Se Lad Kar Jo Apna Naseeb Badal De, Insaan Wahi Jo Apni Taqdeer Badal De, Kal Kya Hoga Kabhi Naa Socho, Kya Pata Kal Waqt Khud Apni Lakeer Badal de.

Dua hai ki kamyabi ke har sikhar pe aap ka naam hoga, Aapke har kadam par duniya ka salam hoga, Himmat se mushkilon ka samana karna hamari dua hai, Ki waqt bhi ek din aapka gulam hoga.

Phulon se zyada haseen muskan ho aapki, chand sitaron se zyada unchi shaan ho aapki, zindagi ka sirf ek hi ho maksad aapka, ki asman se bhi unchi rahe udan apki.

Raah e zindagi me aise mod bhi aate hai, seedhe rakhe kadam bhi dagmaga jaate hai, behake kadamo ko jo sambhal paate hai, wo mukamal insaan kehlate hai.

hai bhala ye kaisa daur sab kuch berukha sa hai, bin tere h sathiya ab jeena bhi daga sa hai, roj puchenge wo haal ajnabiyo se mera, ek din to vilayato mein aana-jana hona mera bhi hai.

Rehne Do Aasman Zameen Ki Talash Karo, Sab Kuch Yahi Hai Kahi na Aur Talash Karo, ho har khawaish Puri To Jeene Ka Maaza kya hai, Jeene Ke Liye Bas Ek Kami Ko din-raat Talash Karo.

Muskilen dil ke irade aajmati hai, sewpan ke parde nigahon se hatati hai, hausala mat haar girkar oh mushafir, thokare insaan ko chalna sikhati hai.

Musqilon Mein Bhag Jana Aasan Hota Hai, Har Pehlu zindagi ka Imtehan Hota Hai, Darne Walo Ko Kuch Milta Nahi Zindagi Mein, sangarsh krne Walo Ke Kadmo Me Jaha Hota Hai.

Na kar tamanna aye dil tu kisi ko paane ki, Badi bedard nigahe hai iss zamane ki, Khud ko bana le kabil tu ab iss kadar, Ki rakhe log tamanna sirf tujhi ko paane ki.

Ajab bemaqsad hai salsila-e-mohabbat bhi, Yeh lamha humse ab guzara nahi jaata, Nahi door tak jeet ke aasaar kahi bhi magar, Na jaane kyu humse haara nahi jaata.